Thursday, 26 November 2015

Zindagi yuun bita raha hai koi

Zindagi yuun bitaa raha hai koi,Karz jaise chukaa raha hai koi,Dushmano ko bhi daya aa jaaye,Dosti yuun nibha raha hai koi,Mehfilon me khushi ki jaana hai,Bojh gum ka uttha raha hai koi,Saari duniya he jaise usski hai.Yuun muhobbat lutaa raha hai koi,Bhool baithe hain hum zamaane ko Yuun hume yaad aa raha hai koi,Tanhai ki zulmat ko mitaane ke liye Teri yaadein jalaa raha hai koi...

No comments:

Post a Comment