Tuesday, 17 November 2015

Aye moj-e-hawa ab tu hi bata

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,Woh yaar humara kaisa hai?Jo bhool gaya hum ko kab se,Woh jaan se pyara kaisa hai?Kya uske jeewan ke lamho mein,Koi lamha mera baqi hai ?Kya uski jaagti aankhon main,Meri yaad se phaili udasi hai ?Kya woh bhi meri tarah yun he,Shab bhar jaga karta hai ?Kya woh bhi saya-e-rehmat main,Hume RAB se manga karta hai ?Agar aisa nahi tho tu he bata,Hum yaad usse Kyu karte hai? Woh humse bichad kar khush hai agar,Tho hum pal pal kyu marte hain? …

No comments:

Post a Comment