Thursday, 14 September 2017

meri bechainiyon ko chain mill jaaye...

Meri bechainiyon ko chain mill jaaye,
Mere deewanepan ko sabr mil jaaye
Tera chehra jab nazar aaye....Zikr tumhara jab jab hota hai,
Dekho na aankhon se
bheega bheega pyaar beha jaata hai,
Meri tanhaiyon ko noor mill jaaye
Tera chehra jab nazar aaye...Main raat-din ye duaa karun
Tere liye main jiyun marun,
Chaaron pehar tujhe dekha karun,
Mera jahan yeh tujhpe fanaa karun......
Zikr tumhara jab jab hota hai,
Dekho na honthon pe tera ehsaas
Reh jaata hai,
Mere har raaste ko manzil mill jaaye
Tera chehra jab nazar aaye....Berang hawayein mujhe naa jaane
De gayi sadaa kyun abhi abhi,
Hai sarfaroshi yeh aashiqui bhi
Jaayegi jaan meri isme kabhi.....
Zikr tumhara jab jab hota hai
Dekho na har lamha teri daastaan
keh jaata hai,
Meri har ik tadap ko sukoon mill jaaye,
Tera chehra jab nazar aaye,
Tera chehra jab nazar aaye...  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

No comments:

Post a Comment