Thursday, 21 September 2017

kagaz par likha khayaal, Bikhraa hua har sawaal...

KaGaz par likha khayaal,
Bikhraa hua har sawaal..

Adhuura kar jaata hai,
ek daastaaN sunaata hai...

Kaise kahun alfaaz mein,
kis zubaan mein andaaz mein...

ab tak koi tadaptaa hai,
kuch likhtaa hai mitaata hai...

Nazdeekiyon ki baat hai,
Par tu na mere saath hai...

tu jaane phir bhi kyun mujhe,
dil ke qareeb nazar aata hai... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

No comments:

Post a Comment