Aisa kyuN hai
waisa kyuN hai..
sochuN meiN jaisa
na waisa kyuN hai..
ansuoN ka samandar kyuN hai..
samandar meiN babandar kyuN hai..
kal tak yahaN sapno ka mahal tha
aaj bana yeh khandar kyuN hai..
paisa sab kuch hota nahi,
har baat meiN lekin paisa kyuN hai..
rab ne banayi sari duniya
koi na Rab ke jaisa kyuN hai..
Insaf ka mandir yahaN likha hai..
insaf magar koi na paata kyuN hai..
Gang nahaya, kumbh nahaya
man ka mail na jata kyuN hai..
Aisa kyuN hai, waisa kyuN hai
sab ko jo bhaye na waisa kyuN hai.......? <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>
No comments:
Post a Comment