Thursday, 14 April 2016

Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai

Masoom Mohabbat ka bus itna fasana hai,Kagaz ki haveli hai aur barish ka zamana hai,Kya shart-e-mohabbat hai,Kya shart-e-zamana hai,Aawaz Bhi zakhmi hai aur geet Bhi gaana hai,Uss paar utarne ki umeed bohut kam hai,Kashti bhi purani hai Toofan ko bhi aana hai,Samjhe ya na samjhe woh andaaz mohabbat ka,Ek Shakhs ko Aankhon se ek shair sunana hai,Bholi si Ada koi phir Ishq ki zid par hai,Phir aag ka dariya hai,“Aur doob ke jana hai”

No comments:

Post a Comment