Tuesday, 5 April 2016

Gai isi main pyar ki aabroo

Hai isi mein pyar ki aabroo...Woh jafa kare main wafa karoon...Jo wafa bhi kaam na aa sake Tho wohi kahe ke main kya karoon...Mujhe gham bhi unka azeez hai Ke unhi ki di hui cheez Yehi gham hai... ab meri zindagi Isse kaise dil se juda karoon...Jo na ban sake main woh baat hoon...Jo na khatm ho main woh raat hoon...Yeh likha hai mere naseeb mein Yoon hi shamma banke jala karoon...Na kisiki dil ki hoon aarzoo...Na kisi nazar ki hoon justujoo...Main woh phool hoon jo udaas hoon...Na bahaar aaye tho kya karoon...

No comments:

Post a Comment