Thursday, 21 September 2017

kagaz par likha khayaal, Bikhraa hua har sawaal...

KaGaz par likha khayaal,
Bikhraa hua har sawaal..

Adhuura kar jaata hai,
ek daastaaN sunaata hai...

Kaise kahun alfaaz mein,
kis zubaan mein andaaz mein...

ab tak koi tadaptaa hai,
kuch likhtaa hai mitaata hai...

Nazdeekiyon ki baat hai,
Par tu na mere saath hai...

tu jaane phir bhi kyun mujhe,
dil ke qareeb nazar aata hai... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Monday, 18 September 2017

Aisa kyun hai waisa kyun hai...

Aisa kyuN hai
waisa kyuN hai..
sochuN meiN jaisa
na waisa kyuN hai..

ansuoN ka samandar kyuN hai..
samandar meiN babandar kyuN hai..
kal tak yahaN sapno ka mahal tha
aaj bana yeh khandar kyuN hai..

paisa sab kuch hota nahi,
har baat meiN lekin paisa kyuN hai..
rab ne banayi sari duniya
koi na Rab ke jaisa kyuN hai..

Insaf ka mandir yahaN likha hai..
insaf magar koi na paata kyuN hai..
Gang nahaya, kumbh nahaya
man ka mail na jata kyuN hai..

Aisa kyuN hai, waisa kyuN hai
sab ko jo bhaye na waisa kyuN hai.......? <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Sunday, 17 September 2017

my favourate mera haal bura hai lekin tum kaise ho likhna

https://getsnap.link/92YjifvBRD9 mera haal bura hai lekin tum kaise ho likhna

my favourate tumbin sad

https://getsnap.link/JMj6An9xeDV tumbin sad

Ek kitaab ki tarha hu main...

Ek kitaab ki tarha hu main...kitani bhi puraani hojaaye....par uske alfaaz nahi badlenge...kabhi yaad aaye tho panne palat kar dekhna...hum aaj jaise hai kal bhi waise he milenge... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Friday, 15 September 2017

Apni bechaini ko alfaz dete rahungi main...


Apni bechaini ko alfaz dete rahungi main...
Woh mera humraaz hai yeh kehte rahungi main...

Falak se judey hain jaise Chaand-o-sitarey..
Usi tarah teri yaad se jude rahungi main..

Tujhe na hogi khabar ke tadap raha hai dil..
Seene me dard chupaker roti rahungi main..

Mujhe hai kasam jo ek alfaz keh du tere khilaaf..
Hai ishq me ghayal yeh dil par haste rahungi main...  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Thursday, 14 September 2017