Saturday, 5 December 2015

Bohut khamosh reha kar woh

Bohat khamosh reha kar woh sadayen mujko deta tha...badi bharpur jazbon ka ehsaas mujko deta tha...Kabhi jo dard ki aatish muje sulagne lagti thi...woh apne saans ki mehki hawain mujko deta tha...Woh uski chahtain bhi sari duniya se anokhi thi...acchai khud woh karta tha jazain mujko deta tha...Mere ehsaas ke sahraon main jo dhoop barti thi woh mausam ka khuda ban kar ghatain mujko deta tha...Usse main ajnabi samajti thi magar har moud pe woh apne naam ki sari duayen mujko deta tha...

No comments:

Post a Comment