Monday, 28 September 2015

Woh pyar ka saboot

Woh pyar ka saboot dikhaya karta tha,Aansoo baha kar mujhe manaya karta tha,Yeh zindagi sirf tumse wabasta hai,Aksar yeh baat mujhe bataya kartatha,Uski baaton mein kuchh aisa asar tha,Main barish ke bina he bheeg jaaya karti thi,Sone ki fursat kis ko thi,Woh mujhe sari raat jagaya karta tha,Bechaini jab hadh sebadh jaati thi,Woh jee bhar ke gale lagaya karta tha,Woh itni mohabbat karne wala badal gaya,Jo saath nibhane ki kasam khaya karta tha..

No comments:

Post a Comment