Wednesday, 25 October 2017

Ab talak samajhti thi main...tuut kar sanwarthi thi main...

Ab Talak Samajhti Thi MaiN
TuuT Kar SanwarThi Thi MaiN ...

Kabhi Ho Kar .... Khud Se Khafaa
Aaiine Se .. PuchhTi Thi MaiN ...

Roshnii Kii .........Tamannaa MeiN
Charaag Si. JalTi Thi MaiN ...

Phool Se .. TitTlii Kaa Mel-Milaap
Mohabbat . SeekhTi Thi MaiN ...

Dekhaa Thaa Tujhe FaqaT Ek Rooz
Charcha Bahut KarTi Thi MaiN ...

Jab Lagaa Bhuul Jaaungi Tujhe
SHAYARI Uss Par LikhTi Thi MaiN ...

Khoye Pyaar Kii ....... Ghumshudgii
Akhbaar MeiN DekhTi Thi MaiN ...

Jisse Door Le gayii Galat fahmiyaaN..
Aankh MeiN ChubhTi Thi MaiN ... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Sunday, 22 October 2017

My voice (Lambi judai)


 my voice (Lambi judai)


Gali aakhiri hai,nagar aakhiri hai...ruki zindagi ka safar aakhiri hai...

Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
Ruki Zindgi kaa safar aakhiri hai…

Kabhi na kamaaya hai palkoN tale jo..
Un ashqoN kaa rukh pe basar aakhiri hai ..

KahiN woh chupe haiN isi kaafile maiN..
Mujhe dekhti jo nazar aakhiri hai..

Meri bebasi thi akela hee chalna..
KhalaaoN bhari yeh dagar aakhiri hai..

Tu royaa badaa hai mujhe sath paakar..
Na gham kar ghadi yeh agar aakhiri hai…

Ki khaamosh rehna mera bheed bhar maiN..
Ye hi aaj arz-e-hunar aakhiri hai..

‘Shabnam’ hi hai gar haasil-e-dam meri jaaN..
Khuda ki panaah hi shikhar aakhiri hai..

HaaN…!

Haasi aakhiri hai, jigar aakhiri hai..
Ruki Zindagi ka, safar aakhiri hai ..  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>