Sunday, 22 October 2017

Gali aakhiri hai,nagar aakhiri hai...ruki zindagi ka safar aakhiri hai...

Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
Ruki Zindgi kaa safar aakhiri hai…

Kabhi na kamaaya hai palkoN tale jo..
Un ashqoN kaa rukh pe basar aakhiri hai ..

KahiN woh chupe haiN isi kaafile maiN..
Mujhe dekhti jo nazar aakhiri hai..

Meri bebasi thi akela hee chalna..
KhalaaoN bhari yeh dagar aakhiri hai..

Tu royaa badaa hai mujhe sath paakar..
Na gham kar ghadi yeh agar aakhiri hai…

Ki khaamosh rehna mera bheed bhar maiN..
Ye hi aaj arz-e-hunar aakhiri hai..

‘Shabnam’ hi hai gar haasil-e-dam meri jaaN..
Khuda ki panaah hi shikhar aakhiri hai..

HaaN…!

Haasi aakhiri hai, jigar aakhiri hai..
Ruki Zindagi ka, safar aakhiri hai ..  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

No comments:

Post a Comment