Wednesday, 25 October 2017

Ab talak samajhti thi main...tuut kar sanwarthi thi main...

Ab Talak Samajhti Thi MaiN
TuuT Kar SanwarThi Thi MaiN ...

Kabhi Ho Kar .... Khud Se Khafaa
Aaiine Se .. PuchhTi Thi MaiN ...

Roshnii Kii .........Tamannaa MeiN
Charaag Si. JalTi Thi MaiN ...

Phool Se .. TitTlii Kaa Mel-Milaap
Mohabbat . SeekhTi Thi MaiN ...

Dekhaa Thaa Tujhe FaqaT Ek Rooz
Charcha Bahut KarTi Thi MaiN ...

Jab Lagaa Bhuul Jaaungi Tujhe
SHAYARI Uss Par LikhTi Thi MaiN ...

Khoye Pyaar Kii ....... Ghumshudgii
Akhbaar MeiN DekhTi Thi MaiN ...

Jisse Door Le gayii Galat fahmiyaaN..
Aankh MeiN ChubhTi Thi MaiN ... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Sunday, 22 October 2017

My voice (Lambi judai)


 my voice (Lambi judai)


Gali aakhiri hai,nagar aakhiri hai...ruki zindagi ka safar aakhiri hai...

Gali aakhiri hai, Nagar aakhiri hai…
Ruki Zindgi kaa safar aakhiri hai…

Kabhi na kamaaya hai palkoN tale jo..
Un ashqoN kaa rukh pe basar aakhiri hai ..

KahiN woh chupe haiN isi kaafile maiN..
Mujhe dekhti jo nazar aakhiri hai..

Meri bebasi thi akela hee chalna..
KhalaaoN bhari yeh dagar aakhiri hai..

Tu royaa badaa hai mujhe sath paakar..
Na gham kar ghadi yeh agar aakhiri hai…

Ki khaamosh rehna mera bheed bhar maiN..
Ye hi aaj arz-e-hunar aakhiri hai..

‘Shabnam’ hi hai gar haasil-e-dam meri jaaN..
Khuda ki panaah hi shikhar aakhiri hai..

HaaN…!

Haasi aakhiri hai, jigar aakhiri hai..
Ruki Zindagi ka, safar aakhiri hai ..  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Wednesday, 18 October 2017

My voice (zikr tumhara jab jab hota hai)

my voice (zikr tumhara jab jab hota hai)


Jaane kitne selaab uske mann main bhi uth rahe honge

Jaane kitne selaab uske mann main bhi uth rahe honge,
Ya shayed shokhiyon main adaon se muskura rahe honge...
Likh rahe honge zakhm-e-judai meri hi tarha,
Ya shayed aarzoo-e-mulakat se dil behla rahe hoge... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Monday, 16 October 2017

Bayanban mein kyun makan dhoondta hai, kyun patthar mein dil aur jaan dhoondta hai...


BayaNbaN mein kyuN makaN dhoondta hai,
KyuN patthar meiN dil aur jaaN dhoondta hai...

Zindagi hai tuli aazmane ko har pal,
Mujhe ab har ek imtehaaN dhoondta hai...

Hua kya hai aakhir yeh soch aur samjh ko,
Tu nahaq logon mein zabaaN dhoondta hai...

JahaN haiN faqat zaKhm hi dene waale,
Tu KhushiyoN ko kyuN wahaN dhoondta hai...

Kahe kyuN na aaKhir zamana deewaana,
Jo khandar mein apna jahaaN dhoondta hai...

Bachi hai faqat raakh hi ab wahan par,
Utt thha kahaN se dhuua dhoondta hai... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>