Ab teri yaadon ka hum chehra banaaye kya kya !
Aansoo bache nahi hain jalwa dikhaaye kya kya !!
Tanhayiyon ki had hai kuch bhi bacha nahi hai !
Lamhe tadap rahe hai khushiya ginaaye kya kya !!
Pyaase ko mil gaya kal dariya se ek tohfa !
Tum puchte ho kya tha hum kya bataaye kya kya !!
Tumne to aandhiyon me sapne bacha liye the !
Kisko sunaaye kisse humne lutaaye kya kya !!
Beshaq the sazishon me shamil bahaar saare !
Tum haar gaye dil hum kya sunaaye kya kya !!...
No comments:
Post a Comment