Wednesday, 15 November 2017

Hawaaon ko tufaanon ki zaroorat bahut hai... Gharon ko ab makaanon ki zaroorat bahut hai...

Hawaaon ko tufaanon ki zaroorat bahut hai...
Gharon ko ab makaanon ki zaroorat bahut hai...

Jazbaaton ka ab dil se koi naata na raha...
Pyaar ko baazaron saamano ki zaroorat bahut hai...

Fikr na ho to bhi jataao ki fikr kitni hai...

Rishton ko ehsaano ki zaroorat bahut hai....

Hisson mein toote sabhi bheedon ka hissa bankar

Humein ab veeranon ki zaroorat bahut hai....

Sharm, haya, adab, tameez sab kya the, yeh batane ko

Ab Nayon ko puraanon ki zaroorat bahut hai...  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

2 comments: