Saturday, 4 February 2017

Goaya andaz-E-Taazeem hai ameeron jaisa

Goya Andaz-E-Taazeem Hai Ameeron Jaisa, Mere Andar Ka Hai Insan Faqeeron Jaisa... Hum Ne Chehre Pe Saja Rakhi Hai Shehar KiRonaq, Dil Ka Aalam Hai Ke veeraan Jazeeron Jaisa... Uske Ausaf-O-Khasaail Ne Mujhe Jeet Liya, Mere Mureedon Me Tha Shakhs Woh Peeron Jaisa... Iss Se Pehle Thi Aseeri Bhi Rehaai Jaisi, Ab Ke Azadi Me Hai Haal Aseeron Jaisa... "SHABNAM" Usko Ganwa ke Hain yaad karte Ab Tak, Woh Jo Ek Shakhs Mere Pass Tha Heeron Jaisa... <<–<<–<<♥>>–>>–>>

No comments:

Post a Comment