Thursday, 24 November 2016

Naa jaane aaj kya mehsoos kar rahi hoon main

Naa jaane aaj kya mehsoos kar rahi hoon main...Lag raha hai jaise saare ehsaas mar se gaye hai mere...Jin ehsaaso ko shabdo mein piro kar ek naya roop diya karti thi...Aaj na jane kyun unn shabdo se hi chid ho gayi hai mujhe...Itne log hai mere aas paas lekin phir bhi akeli hoon main...Sab kuch paakar bhi jaise kuch adhuri si hoon main...Sapno me is kadar khoyi rahi ki sacchai ka pata hi na chal saka...Iss tarah achanak sab khatm ho gaya ki ek aansu tak na beha saka...Aaj khush hoon main, muskurati hoon main...Koi dar nahi ki khone ko ab bacha hi kya hai...Sab poochte hai ki itni khush kaise rehti hoon main Ki nahi jante wo, ab mere paas rone ko bacha hi kya hai… <<–<<–<<♥>>–>>–>>

No comments:

Post a Comment