Saturday, 14 October 2017

Aye khuda aur kitne imtehan baki hai...

Aye khuda aur kitne imtehan abhi baki hai,
Jeena padega humeiN jab tak jaan baki hai...

Chaha ker bhi kar nahi sakte kinara tujhse ,
Poore karne haiN kafi armaan abhi baaki hai...

Kaise kerdeiN ruksat is zindagi ko abhi,
Karz utarne haiN kuch ehsaan abhi baki hai...

Waqt ke hathoN yuN hi chhott khate rahe ,
Naseeb ki giraft meiN gireban abhi baki hai...

Apni uljhano ke bojh tale dab ke reha gaye ,
Kitne adhure mere kaam abhi bakee hai...

Hum tho karte rahe zindagi se samjhauta ,
Ek din aana maut ka ferman abhi baki hai...

Bewajah befazool guzaar di saari zindagi,
Sunaani tumhe apni daastan abhi baaki hai...  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Thursday, 12 October 2017

Ishq mein har zulm sahe dil ke waste..ek baddua bhi na nikli qatil ke waste...

Ishk mein har zulm sahe dil ke waste......
Ek baddua bhi na nikli qatil ke waste..

Har koi chal diya apni raah.....
Ek kashti bhi naa ruki sahil ke waste...,..

Charon taraf hai mere andhera.......
Ek chirag bhi naa jala jahil ke waste..

Gujar jaati hai umr chalte chalte.......
Aas jagi rahati hai manzil ke waste.....

Do raahe par fansi jab bhi zindagi............
Chod diya har faisla aadil ke waste......

Intzaar mein rahe apni chahat ke........
Ho naa saka izhaar-e-ishk gafil ke waste......  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Sunday, 8 October 2017

Shiddate gham ko Tabassum se chhupane walo. Dil ka har raaz nigahon se bayaan hota hai...

Shiddate gham ko Tabassum se chhupane walo.
Dil ka har raaz nigahon se bayaan hota hai...

Kahayal-e-dil-e-babasta khol ke dekh lo,
Har alfaaz teri adaa se bayaan hota hai...

Woh anjane the ya nahi hum nahi jaante,
Raaz yeh unki nigahon se bayaan hota hai...

Nahi jaante ke kya hui thi khata humse,
Yeh afsana aarzoo se bayaan hota hai...

Ke chahte the saath umr bhar ka “Shabnam”
Ab yeh fasla is kalaam se bayaan hota hai...  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Thursday, 5 October 2017

yeh dard, yeh sitam, yeh maajraa kyaa hai, mere humdam mujhe bata tujhe hua kyaa hai...

yeh dard, yeh sitam, yeh maajraa kyaa hai,
mere humdam mujhe bata tujhe hua kyaa hai...

yuN kab talak tu karega shikayateN mujh se,
meiN maanti huN jurm,de bhi de saza kyaa hai...

mera ghum tujh se abhi tak hai agar poshida,
bewajah mujh se mera haal poochtaa kya hai...

mujh ko tho dekh liya,jaanch liya, jaan liya,
tera bhi rang dikha tu bhi tho bataa kya hai...

meri rusvaaiyoN meN tu bhi hai shareek mera,
mere kis se, sar-e-mehfil uchaalta kyaa hai...

hum ek umr se waakif haiN, ab na samjhaaO
ke ishq kya hai,wafa kya hai aur jafa kya hai...

meri nayyaa tu sambhaale yeh tere bas me nahi,
doob jaane de mujhe itnaa sochta kya hai...  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Monday, 2 October 2017

Hoti hoon bheed se ghiri main har pal har din...

Hoti hoon bheed se ghiri main har pal har din,
Phir kyon khudko main akela paati hoon..

Jo hote hain ghaav hare dil ke mere kabhi,
khudhi khudke zakhmo pe marham lagati hoon..

Hoti hoon aksar beetin baaton ko yaad kar udaas main,
Tho sochke aane waale kal main phir muskurati hoon..

Toot ta hai jab jab bharosa unke pyar per se mera,
Tho unke kahe wadon se main khudko samjhati hoon..

Badh jaaye jab jab bojh zimmedariyon ka mujhpar,
pyar ki taaqat ki intihaan khudko main yaad dilaati hoon..

Jo naa kar pau mehasus saath unka bheed mai main,
Phir logon ke beech bhi main khudko akela paati hoon....  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Friday, 29 September 2017

Reha reha ke bohut yaad woh aaye tam'aam shab...

Reha reha ke bohut yaad woh aaye tam'aam shab,
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab...

kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
maine, charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab...

aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab...

raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab...

zaalim hai teri tarha'he, terii yaad bhi jaana,
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab...

woh khwaab ki duniya meiN tha...baiThi thi maiN yahaaN,
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab...

kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab...

"maikash" nahi hui hai  "yooN hi" yeh Shayari!
kaaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Wednesday, 27 September 2017

unke chand lamhe ke pyar ko wafa maan liya...

Unke chand lamhe ke pyar ko wafa maan liya,
hamne unhe apna khuda maan liya...

par jab pata chala ki unke dil me kya hai,
na chahte hue bhi unhe bewafa maan liya...

juban pe kuch tha or dil me kuch or unke,
yeh janne ke liye hamne unke dil me jhank liya...

hamne to kar diya tha apna katra katra arpan unhe,
jab bhi woh ladkhadaye hamne unhe tham liya...

raaste bhale hi alag the par manjil ek thi,
hamne manjil tak pahunchne ke liye unhe hi raasta maan liya...

socha mene kI MIL gaya hai mukaam mohabbat ko meri,
par mila gam ka sagar hamne usme bhi tairna jaan liya...

woh badal hai or ham unki barish main bhigna chahte hai,
par diye unhone aansu hame or hamne usme bhi bhigna jaan liya...

unhe bewafa kehna hamare ishk ki ruswai hogi,
aaj se khud se hi pyar karna jaan liya...

'Shabnam' ko mila hai gam itna mohabbat me,
ki muhabbat ka falsafa aaj hamne jaan liya...  <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Monday, 25 September 2017

Darde dil ki dawa mile tho bata dena hume bhi doston...

Darde dil ki dawa mile tho bata dena hume bhi doston....
Roo rahe hain tadap kar uski bewafai ke baad... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>

Saturday, 23 September 2017

Ishq me kuch aise zakhm mile hain shabnam...

Ishq me kuch aise zakhm mile hain Shabnam...
Dhoke pe dhoke milte rahe meri wafaon ke baad... <<–<<–<<♥Shabnam♥>>–>>–>>