Sunday, 19 March 2017

Shabnam

Sajdon me bheegti hai jinki ankhein

Sajdon me bheegti hai jinki aankhein
Woh kabhi kismat aur taqdeer parr roya nahin karte.

Kya likhoon Hamd-o-Sana us Parwardigaar ki, Jo naa maango to Nawaz deta hai
Aur Maang lo toh be-hisab deta hai

Jab Tum ko yaqeen ho, ALLAH hamesha tumhare saath hai
Toh iss Baat ki fikar Chhodo ke kaun kaun tumhare khilaaf hai.

YA ALLAH teri mohabbat ki aajizi hum ko itni naseeb ho,
Humari aakhri saans ho aur tera kalma naseeb ho...

Saturday, 18 March 2017

Alfaaz na jane kaha se mil jate hai, Aye jaan..

Alfaaz na jane kaha se mil jate hai,  Aye jaan..,, Jab bhi ek baar me tujhe soch leti hu..!! ...  <<–<<–<<♥>>–>>–>>

Thursday, 16 March 2017

Tuesday, 14 March 2017

Hum tho hai jo teri ruuh se muhabbat karte hai...

Hum tho hai jo teri ruuh se muhabbat karte hai...woh aur log honge jinhe talab tere jism ki hai..!! ... <<–<<–<<♥>>–>>–>>

Monday, 13 March 2017

Agar tum shayari samjho tho yeh tumhari baat hai...

Agar tum shayari samjho tho yeh tumhari baat hai...Alfaaz nahi hai yeh mehaj mere jazbaat hai... <<–<<–<<♥>>–>>–>>

Sunday, 12 March 2017

Is dhadkan ko har pal tera ehsaas kyo hai

Is dhadkan ko har pal tera ehsaas kyo hai...
In ANKHO ko tujhe dekhne ki aas kyo hai...
Kyo lagta hai ki hai hamara rishta bohot purana...
Kyo lagta hai ki hai hamko bohot door hai jaana...
Har pal, har din, ek dusre ka saath hai nibhana...  <<–<<–<<♥>>–>>–>>

Friday, 10 March 2017

Ehsaas doori ka waqt ke sath bhi hoga...

Ehsaas doori ka waqt ke sath bhi hoga...
    Gujare lamho me yaado ka khwab bhi hoga...
Ham tho na honge AAP ki zindagi me,
    Magar meri dosti ka asar mere baad bhi hoga... <<–<<–<<♥>>–>>–>>