Thursday, 12 January 2017

Kabhi na shaam se pehle kabhi na shaam ke baad

Kabhi Na Shaam Se Pehle, Kabhi Na Shaam Ke Baad,
Humare Lub Nahi Khulte, Tumhare Naam Ke Baad...

Tumhari Yaad Shab-O-Roz Hum Sanwarte Hain,
Humain Hai Kaam Na Koi Bhi, Ab Is Kaam Ke Baad...

Pila Pila Ke Giraya Tha Aaj Saqi Ne,
Nazar Ne Jaam Hi Manga, Har Ek Jaam Ke Baad...

Kuch Aise Log Bhi Aate Hain Meri Mehfil Main,
Jo Daad Tho Dete Hain Magar, Ikhtataam Ke Baad...

Taveel Behas Thi Dil Main Magar Yeh Kya Khat Main,
Koi Bhi Lafz Na Likha Gaya, Salaam Ke Baad...

Woh ek Shaam Ke Jis Main Juda Hue 'Shabnam'
Kabhi Na Chain Se Soye Magar, Uss Shaam Ke Baad... <<–<<–<<♥>>–>>–>>

Wednesday, 11 January 2017

Kya rakha hai is gham se bhari duniya me aye dil-e-nadan

Kya Rakha Hai Is Gham Se Bhari Duniya Me Aye Dil-e-Nadan
Chal Khol Apna Maikhana Toote Dilon Ka Darbaar Sajate Hain...  <<–<<–<<♥>>–>>–>>

Tuesday, 10 January 2017

Har daur ki gardish ne hume salami di hai

Har Daur Ki Gardish Ne Hume Salami Di Hai...
Hum Woh Pathar Hain Jo Har Daur Me Bhaari Nikle... <<–<<–<<♥>>–>>–>>

Sunday, 8 January 2017

Nahi thi mujhe kabhi kuch bhi likhne ki fursat 'Shabnam'

Nahi Thi Mujhe Kabhi Kuch Bhi Likhne Ki Fursat 'Shabnam'
Ek Shakhs Ke Diye Zakhmon Ne Mujhe Shayar Bana Diya... <<–<<–<<♥>>–>>–>>

Saturday, 7 January 2017

Dilwale tho aur bhi honge tumhare sheher mein magar

DilWale Tho Aur Bhi Honge Tumhare Sheher Mein Magar...
Humara Andaz-e-Wafa Tumhe Aksar Yaad Ayega... <<–<<–<<♥>>–>>–>>

Friday, 6 January 2017

Humare rooth jane se humare toit jane tak

Humare Rooth Jane Se Humare Toot Jane Tak...
Batao Sath Doge Kya Tumhe Gar Hum Pukaren Tho...?  <<–<<–<<♥>>–>>–>>