Sunday, 21 February 2016

Har rishte ko azmaya hai humne

Har rishte ko azmaya hai humne...Kuch paya par bohut gavaya hai humne...Har uss shaks ne rulaya hai...Jise bhi iss dil main basaya hai humne...

Friday, 19 February 2016

Apni yaadein apni batein le kar jana bhool gaya tha

Apni yaadien apni batien le kar jana bhool gaya tha..Jane wala jaldi main tha mil kar jana bhool gaya tha...Mud mud kar yun dekh raha tha jate jate,Jese usne kehna tha kuch jo woh kehna bhool gaya tha...Waqt-e-rukhsat meri ankhe ponch raha tha hathon se,Usko gham tha itna zyada khud woh rona bhool gya tha...

Thursday, 18 February 2016

Rone ko hum bhi roley magar

Rone Ko Hum Bhi Roley magar......Lekin Dar Sa Lagta Hai Kahin Phir Koi Hamdard Ban Ke phir Dard Na De Jaaye...

Wednesday, 17 February 2016

Jo hume samajh nahi saka

Jo hume Samajh hi nahi saka,,,"........."Usse Haq Hai ke Woh Hume Bura Hi Samjhe...!!!

Tuesday, 16 February 2016

Apna ehsaas mar na jaye kahi

Apna Ehsaas mar na jaye kahi Dard hadh se Guzar na jaye kahi... Unko dekhe hue kayi Sadyan Unka Chehra bikhar na jaye kahi...Ab ke Awaaz du tho aajana...Dil Deewana Sudhar na jaye kahi...Unka Wada tho hai magar Dil ko Darr hai ke kafir mukar na jaye kahi...Dard, Jugnoo, Hawa, Gile Shikwe Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahi...Meri Duniya hai Dard ki Surat Gul ki Surat Nikhar na jaye kahi...Khak se Ab tak tho aa pohnche Ab yeh Darya Utar na jaye kahi...Yeh Mohabbat bhi ek Bala thehri Hum ko Darr hai woh Darr na jaye kahi...Is liye Muskuraye phirti hoon...Unki Aankh bhi na bhar jaye kahi...Dil se guzra tho hai magar Saqi Apni Jaan se guzar na jaye kahi...

Monday, 15 February 2016

Sunday, 14 February 2016

Kabhi tum bhi nazar aao

Kabhi tum bhi nazar aao...subha se sham tak hum ko bohut se log milte hai nigahon se guzarte hai koi andaaz tum jaisa koi hum-nam tum jesa magar tum hi nahi milte...bohut bechain phirte hai...bade betaab rehte hai...dua ko hath uthate hai dua main yeh hi kehte hai...lagi hai bheed logon ki,magar is bheed main "Shabnam" KABHI TUM BHI NAZAR AAO KABHI TUM BHI NAZAR AAO...

Saturday, 13 February 2016

Kisi ki yaad main hai

Kisi ki yad dil main hai,koi ehsaas baqi hai...Badalte mausamo ke darmiyan ek raaz baqi hai...Abhi main safar main hoon,Milegi manzil mujhe,magar in raston ke darmiyan ek sath baqi hai...kahin pe sham dhalti hai,kahin raat hoti hai...Abhi tho chandni hai, Chand ki raat baqi hai...Chalo kisi din tum humara haal bhi dekho Humara dil bejan hai magar ek saans baqi hai...Umed hai phir bhi milega woh hume ek din khuda par hai bharosa, Khuda ki zaat baqi hai...

My favourate song teri umeed sonu kakkar

http://www.mymp3song.com/files/download/id/37481 Teri Umeed Tera Intezaar - Sonu Kakkar.mp3

Friday, 12 February 2016

Jo dure karte the humara dard

Jo dure karte the humara dard woh khud aaj hume tadpaya karte hai...........mere aansu ponchne wale har shakhs aaj mujhe rulaya karte hai...........Phir bhi hum apne aansu apni palko mein hi chhipaya karte hai............Aur sirf ab hum maut ke intzaar mein zindagi gujara karte hai...........Haan sach hi hai ke Waqt ke saath sabhi badal jaaya karte hai...