Saturday, 5 December 2015

Na sawal banke mila karo

Na sawal banke mila karo, na jawab banke mila karo,Meri zindagi mere khuwab hai,Mujhe khuwab banke mila karo,Mujhe ache log bohut mile main unn ke karaz se mar gayi Jo ho sake tho kabhi kabhi mujhe kharab ban ke mila karo,sitam karo ya karam karo hum gila nahi karte..yakinan khizaan mein phool khila nahi karte..mila do khaak mein hum ko magar yaad rakhna..hum jese dost phir mila nahi karte,Humne Dil Toda Dhadkano Ke Khauf Se Apni Basti He Mita Di Barisho Ke Khauf Se Kaun Kehta Hai Hume Mohabbat Raas Agayi?Hum Tho yuun He Hans Daite Hai Aansuon Ke Khauf Se Dil Ne Tere Pyar Par Majboor Mujhe Kar Diya iss Jahan Ki Har Khushi Se Duur Mujhe Kar Diya Jis kadar Chaha Tha Dil Ne Paas Tere Aane Ka Uss kadar Duniya Ne Tujh Ko Duur Mujh Se Kar Diya,Kya poochte ho hijr main kya kiya karte hai Tere laut aane ki din raat dua karte hai...

Bikhar rahe hai meri zindagi

Bikhar Rahe Hai Meri Zindagi ke Tamaam Warq,Na-Jane Kab koi Aandhi Udda ke Le Jaye,Mein Dosron ke Dukh Kab Tak Sambhal ke Rakhon Jis Jis ke Hai Woh Nishani Bata ke Le Jaye...

Chale jayenge jis din hum

Chale jayenge jis din hum kabhi wapas na aaneko,,Kisi mehafil mein chedega humara zikr jab koi,,Chale jaaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko,,Ghatayen parbaton pe jhuk ke jab ulfat nibhayenge,,Taras jaoge sawan mein hamare paas aane ko,,Nazar ke samne jis ghadi guzrega khayal tho,,Humare khat purane dhoondoge dil se lagane ko,,Karoge yaad tum ek din mohabbat ke zamane ko...

Jaha sar jhuk jaye wahi khuda ka ghar hai

Jaha sar jhuk jaye wahi khuda ka ghar hai,Jaha nadi mil jaye wahi samundar hain..iss zindagi mein dard toh sabhi dete hain Jo dard ko samajh sake wahi hamdard hai...

Ek bewafa ko hum ne

Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi Khuwabon Ki Duniya Apni Uss Se He Saja Di Thi,Chaha Tha Uss Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohut Badh Kar,Uss Chahat Mein Hum Ne Yeh Hasti He Mita Di Thi,Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga,Uss Per Bharosa Karke Khud Ko He Saza Di Thi,Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko,Uss Ne Tho Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi,Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se,Apni Zindagi Jis Ke Saye main Bitta Di Thi,Kiya Tha Uss Per Bharosa Kyu Hadh Se Badh Kar Uss Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi...

Dil udaas hai bahut

Dil udaas hai bahut koi paigaam he likh do Tum apna naam na likho, gum-naam he likh do,Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin Tamaam umr na likho magar ek shaam he likh do,Zaroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko Sare-e-bazm na aao magar benaam he likh do,Yeh jaanti hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam he likh do,Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thehre hum,Koyi enaam na likho koyi ilzaam he likh do...

Friday, 4 December 2015

Thursday, 3 December 2015

Haqiqat jaan kar aisi hamaqat kaun karta hai

Haqiqat jaan kar aisi hamaqat kaun karta hai¡­bahla befaiz logon se mohabbat kaun karta hai¡­batao jis tijarat men khasara he khasara ho¡­bina soche khasare ki tijarat kaun karta hai¡­hume he galat fehmi thi kisi ke waste warna¡­zamane ke riwajon se baghawat kaun karta hai¡­KHUDA ne sabr karne ki mujhe tofiq bakhshi hai¡­arre jee bhar ke tarpaao shikayat kaun karta hai¡­kisi ke DIL ke zakhmon par marham rakhna zaruri hai magar iss daur mein $MUSKAAN$ ki zehmat kaun karta hai¡­

Wednesday, 2 December 2015

Tere kareeb rahu ya ke door jaau mein

Tere kareeb rahu ya ke door jaau mein,Haan dil ka ek he aalam tujh he ko chaahu mein,Mein jaanti hu woh rakhta hai chahate kitni,Magar yeh baat usse kis tarah batau mein,Jo chup rahi tho samjhega badgumaan mujhe,Bura bhala he sahi kuch tho bol aaun mein,Phir is ke baad ta'alluq mein faasle honge,Mujhe sambhaal ke rakhna bichad na jaun mein,Mohabbaton ki parakh ka yahi tho raasta hai,Teri talaash mein niklu tujhe na paaun mein...

Tuesday, 1 December 2015

Woh khuwaab tha bikhar gaya

Woh Khuwaab tha bikhar gaya...Khayaal tha mila nahi...magar iss dil ko kya hua, kyu bujh gaya pata nahi...har ek din udaas din tamaam shab udaasiya...kisi se kya bichad gaye ke jaise kuch bacha nahi...woh saath tha tho manzilen nazar nazar chiraag thi...qadam qadam safar mein ab koi bhi lab dua nahi...hum apane is mizaaj mein kahi bhi ghar na ho sake...kisi se hum mile nahi...naa kisi se dil mila nahi...hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon ki jang mein zameen pe aadami nahi aur falak pe kya Khuda nahi...